RASHTRIX 24X7 NEWS

कोलकाता · राष्ट्रिक्स वायर

baranagar hatyakand, aaropi ne kiya hatya ka khulasa

baranagar mein gaming sathi ki hatya ke aarop mein giraftar dharambir ne puchtach mein bataya ki yuvati ke baat na sunne par usne yeh kadam uthaya.

baranagar mein ek yuvati ki hatya ke mamle mein aashcharya janak jankari samne aayi hai. police sutron ke anusar, giraftar aaropi dharambir kumar ne bataya hai ki yuvati uski baat nahi sun rahi thi, isiliye usne gusse mein aakar is varrat ko anjam diya. varsh 2021 mein ek online gaming platform ke zariye dono ki pehchan hui thi. baad mein anya ladkiyon ke sath baat karne ko lekar dono ke beech vivad hone laga tha.

bataya gaya hai ki 10 november ko baranagar ke ek flat mein ise lekar fir se bahas hui thi. gusse mein aakar aaropi ne gale mein fanda kasakar yuvati ki hatya kar di. hatya ke baad vah mritak ka mobile phone lekar wahan se bhag gaya. janchkartaon ko gumrah karne ke liye usne usi phone se parivar ke sadasyon ko sandesh bhejna shuru kar diya tha, taki kisi ko shaq na ho.

aaropi ki yojana uttar pradesh ke kanpur mein apne gaon lautkar kheti karne aur naya jeevan shuru karne ki thi. lekin uska yeh plan safal nahi ho saka. howrah se train pakadkar delhi pahunchne ke baad, police ne use anand vihar station se dhar daboch.